Main azal ki shaakh se toota hua, Phir raha hoon aaj tak bhatka hua


Main azal ki shaakh se toota hua,
Phir raha hoon aaj tak bhatka hua,

Dekhta rehta hai mujhe ko raat din,
Koi apne takht per betha hua,

Chand taare dur peechey reh gaye,
Main kahan par agaya urta hua,

Band khirki se hawaa ati rahi,
Aik sheesha tha kahin toota hua,

Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per,
Saarey kamre mein hai woh phelaa hua,

Apne maazi ka samundar chaaniye,
Ik khazaana hai yahan dooba hua,

Doston ne kuch sabak aese diye,
Apne saaye se bhi hoon sehma hua,

Kis ki aahat atey atey ruk gayi,
Kis ne mera saans hai roka hua?


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai