Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein, Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein


Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein,
Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein,

Janey kis ki yaad thi ke aik manzar dekh kar,
Toot kar main ro parra tha, ik safar ki raat mein,

Kash aesa ho, yahin pe rok lain hum waqt ko,
Yaad hai, tu ne kaha tha? ik safar ki raat mein,

Woh jiss se umar bhar ki doooriyan mansoob hain,
Mere seeney se laga tha, ik safar ki raat mein,

Har tarah phailey huye they yaad-e-gham ke silsiley,
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat mein,

Ghar se bahar paaon rakhtey hi larzz uthta hai dil,
Haadsaa aesa hua tha, ik safar ki raat mein,

Aaj bhi main gungunaata hoon usey tanhayi main,
Geet jo hum ne sunaa tha, ik safar ki raat mein,

Uss ki yaadon ke saharey kar raha hoon zindagi,
Jo mujhe Waasiq milta tha, ik safar ki raat mein..

Syed Wasiq


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo