Soney hi kahan dega yeh mehtaab adhoora Rehne de meri aankhon mein ik khawb adhoora


Soney hi kahan dega yeh mehtaab adhoora

Rehne de meri aankhon mein ik khawb adhoora

Uss simt hi chalte hain liye naao ko apni

Reh jaaye na paani mein yeh gardaab adhoora

Toota to usey gaud liya lehron ne barh kar

Phir behta raha phool sar-e-aaab adhoora

Shaayer ka gumaa’n dekha jahan koi bhi dekha

Ik shakhss ke bikhraa hua betaab adhoora

Ab un se kya rakhain hum umeed-e-takalum

Laate hain baja’aa bazm mein adaab adhoora

Rakhshanda, shab-o-roz likha safaah, dil par

Reh jaye na aakhir mein wohi baab adhoora.....

Rakhshanda Naveed


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo