Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono, Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono


Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono,
Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono,

Ilaahi zindagi yun hi mohabbat mein guzar jaye,
Nimaaz-e-fajar parh kar yeh dua kartey they hum dono,

Hamesha thandi ho jati thi chaye baaton baaton mein,
Woh batain jo un ankhon se kiya karte they hum dono,

Hawaa ke aik jhonkey se larz jatey dareechon main,
Chiraghon ki tarah shab bhar jala kartey they hum dono,

Mohabbat mein katthan rastey bohat asaan lagtey they,
Pahaarron par sahulat se charha karte they hum dono,

Hassan ruswayi ka hadsha kabhi dil main nahin aya,
Khayaalon aur khawbon mein mila karte they hum dono..


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai