Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai Ujaala Aankh Se Oojhal Raha Hai


Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai
Ujaala Aankh Se Oojhal Raha Hai

Samaatay Kia Nazar Mein Chaand Taaray ?
Tasawwur Mein Tera Aanchal Raha Hai

Teri Shaan-e-Taghaaful Ko Khabar Kia ?
Koi Tere Lye Be-Kal Raha Hai

Shikaayat Hai Gham-e-Dauraan Ko Mujh Se
Ke Dil Mein Kiun Tera Gham Pal Raha Hai ?

Taajub Hai Sitam Ki Aandhion Mein
Charaagh-e-Dil Abhi Tak Jal Raha Hai

Lahoo Royein Gi Magrib Ki Fizaayein
Badi Tezi Se Sooraj Dhal Raha Hai

Zamaana Thak Gaya, Jaalib Hi Tanha
Wafaa Ke Raastay Pe Chal Raha Hai


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai