Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho


Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho

Samunder Ashna Aankhoon Main Sehra Aan Baste Hain Tumhain Jab Bhool Jata Hoon
Phir In Sehraaoon Main Ik Khawab Ka Chashma Niklata Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Main Apne Haath Se Teri Sunehri Yaad Ki Palkain Sajata Hoon Khyaloon Main
Khayaloon Main Tera Mausam Kai Pehlo Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Teri Parchaiyaan Her Su Meri Tanhaiyoon Ka Raqs Kerti Hain Udaasi Per
Mere Seene Main Ik Bechain Sa Bacha Machalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Kisi Footpath Per Bazar Main Baaghat Main Ya Phir Kisi Darya Kinare Per
Bohat Khush Ho Ke Jab Koi Kisi Ke Saath Chalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho

Main Sara Din Koi Sangi Majasma Ban Ke Rehta Hoon Mager Jab Shaam Dhalti Hai
Mere Dill Ki Jagah Per Koi Pather Sa Pighalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Tasawoor Main Tumhare Sang Beeti Baarshain Aksar Tumhain Awaz Deti Hain
Nigahoon Main Tumhari Dhoop Ka Ik Deep  Jalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Kabhi Koi Sitara Aankh Se Hota Howa Bhujta Hai Aa Ke Goad Main Gir Ker
Kabhi Koi Bohat Hi Door Ubharta Hai Dhalta Hai Mujhe Tum Yaad Aaate Ho


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai