Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki


Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki

 Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki

Woh sitamgar hai to ab us se shikayat kesi

 Aur sitam karna bhi aadat purani us ki

Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per

 Chand aansu hain mere pass nishani us ki

Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai

 Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki

Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko

 Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki

Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena

 Samne sab ke sunaa dena kahani us ki.......!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo