Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men


Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein

Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men

Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men Girya-o-Zaari

Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khwaan Mujh Men

Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya

Magar Woh Chor Giya Hai Kai Nishaan Mejh Men

Azeez Itna Bhi Kiyon Hai Sakoot-e-Shaam-e-Alam ?

 Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men ?

Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon

Kabhi Yeh Dard Uatarta Hai Meri jaan Mujh Men

Ye Kon Baant Giya Mujh Mein Ronaqain Apni ?

 Yeh Kon Kar Giya Abaad Ek Jahaan Mujh Mein ?

Main Jab Bhi Haath barhane Lagta Hoon Gulon Ki Taraf

To Urne Lagti Hain 'Shamsheer' Titliyaan Mujh Mein.


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha