Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha Bas Mujh Se Youn He Bichar Gaya Tha

Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bas Mujh Se Youn He Bichar Gaya Tha

Har Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha

Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha
Woh Mujh Se Kabhi Na Roothta Tha

Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha

Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Se Bichar K Roo Para Tha

Kya Kuch Na Us Se Kaha Gaya Tha
Us Nay Toh Laboon Ko See Liya Tha

Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha

Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main Toh Shehad Gholta Tha

Kehnay Ko Juda Tha Mujh Se Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha

Us Nay Jo Kaha, Kya Woh Dil Nay
Inqaar Ka Kis Main Hosla Tha

Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Charaagh Jal Raha Tha

Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Se Bhi Kam Hi Khul Saka Tha

Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha

Main Bhi Tha Dara Hua Sa Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha

Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha

Ek Raah Se Main Bhi Tha Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha

Ek Pal Main Chapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha

Soocha Toh Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha

Qadmoun Se Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha

Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha

Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha

Rakhta Tha Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Ghar Chatakh Gaya Tha

Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsaas Magar Judda Judda Tha......

 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai