Woh hain pass aur yaad aney lage hain, Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain,


Woh hain pass aur yaad aney lage hain,
Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain,

Suna hai humain woh bhulaney lage hain,
To kya hum unhe yaad aney lage hain,

Hattaye they jo raah se doston ki,
Woh pathar mere ghar mein aney lage hain,

Woh phir mujhe yaad aney lage hain,
Jinhe bhoolne mein zamaney lage hain,

Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko,
Yeh kehne mein mujh ko zamaney lage hain,

Qayamaat yaqeenan ab qareeb agayi hai,
Khumaar ab to masjid main jaaney lage hain..


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai