Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai K ashk rokna tum se mahaal hona hai

 

Poet:Wasi Shah


Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai
K ashk rokna tum se mahaal hona hai

Har aik lab per hain mere wafa k afsanay
Tere sitam ko abhi la-zawaal hona hai

Tumhein khabar hi nahin tum to lot jao ge
Tumhare hijar mein aik lamha saal hona hai

Humari rooh pe jab bhi azaab utrein ge
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai

Kabhi to roye ga wo bhi kisi ki bahon mein
Kabhi to uski hansi ko zawaal hona hai

Mile gi ham ko bhi apne naseeb ki khushiyan
Bas intazar hai kab ye kamal hona hai

Har ek shakhs chale ga humari raahon par
Muhabaton mein humain wo misaal hona hai

Zamana jis ke kham-o-paich mein ulajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hon hai

Yaqeen hai mujh ko k wo lot aaye ga

Usay bhi apne kiye ka malaal hona hai.......!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo