Apna to chahton mein yehi ik asool hai Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai


Poet:Wasi Shah

Apna to chahton mein yehi ik asool hai

Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai

Ye umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye

Tu na mila to saari reyaazat fazool hai

Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de

Ab chorr di to kiyon tera chehra malool hai

Aye Maan ye meri shohrtain meri ye izztain

Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai

Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri

Iss waqt tere dard ka dil par nazool hai

Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi

Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai........!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha