Ay mere chaand ki aghosh se ubhre hoe chaand Tere ane se meri shokh ki sab muskanen


Poet:Wasi Shah

Ay mere chaand ki aghosh se ubhre hoe chaand
Tere ane se meri shokh ki sab muskanen

Us k morjhayi hoe chehre pe loat ai hain
To ne hi us k solagte hoe sub zakhmon par

 Apna nazak sa mehkata hoa marham rakha
Goya sehraon me barsat ka mosam rakha

Waqat ki andhi ne ikk phool mere angan ka
Gulshan ghair k zindan me la phenka tha

Me k jogno tha chine mujh se hawale mere
Kho gae jane kahan saare ojhale mere

Wo k titli thi sabhi rangon se mehrom hoi
Hijar k dard mein din raat wo Maghmom hoi

Bikhri bikhri si wo rehti thi meri sochon mein
Tere ane se meri shokh ne khoshiyan paen

To jo hansta hai tujhe daikh k jii uthti hai
To jo rota hai to gabra k bikhar jati hai

Mujh se wabasta jo karti thi maqadar apna
Ab samajhati hai faqat tujh ko sikandar apna

Ab teri zaat se mansoob hain sansain us ki
Aur khilati hain tere qurab me banhin us ki

Ay mere chaand ki aghosh mein khilte hoe chaand
To ne mujh par ajab ehsan kia hai piyaare

Ab tere qurab mein wo mujh ko bhala to de gi
Hijar k jalte hoe deep bajha to de gi.............!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai