Dayar-e-gair me kaise tujhe sada daite Tu mil bhi jata to akhir tujhe ganwa daite

 

Poet:Wasi Shah

Dayar-e-gair me kaise tujhe sada daite
Tu mil bhi jata to akhir tujhe ganwa daite

Tumhin ne ham ko sunaiya na apna dukh warna
Dua wo karte k ham asman hila daite

Hamein ye zoom raha ab k wo pukaren ge
Unhen ye zid thi k har bar ham sada daite

Wo tera gham tha k taseer mere lahje ki
K jis ko hal sunate use rula daite

Tumhen bholna hi awwal to dastaras me nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kia bhula daite?

Hum apne bachon se kaise kahen k ye ghoriya
Hamare bus me joo hoti to hum dila daite

Tumhari yad ne koi jawab hi na dia
Mere khayal k aansu rahe sada daite

Samaton ko me ta-umer kosata Syed
Wo kuch na kahte magar honth to hila daite......!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo