Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi

 

Poet:Wasi Shah

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi
Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi

Kahan Gayi Wo Kunwari, Udaas Bee Aapa?
Jo Gaon Gaon Mein Rishtay Talaash Karti Thi

Bhulaye Kon Aziyat Pasandiyan Uski
Khushi Ke Dhair Main Sadmay Talaash Karti Thi

Ajeeb Hijar Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot'tay Pat'tay Talaash Karti Thi

Qiyaam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarha
Udaas Rooh Ke Goshay Talaash Karti Thi

Tamaam Raat Wo Parday Hata Ke Chaand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhay Talaash Karti Thi

Kuch Is Liye Bhi Mere Ghar Se Us Ko Thi Wehshat
Yahan Bhi Apne Hi Pyaaray Talaash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijar Ke Harbe Talaash Karti Thi

Tamam Raat Wo Zakhm Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raizay Talaash Karti Thi

Duaein Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Par
Baray Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi

Mujhe to Aaj Bataya Hai Baadlon Ne "Wasi"
Wo Laut Aanay Ke Raastay Talaash Karti Thi........!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai