Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai Tumhari "han"pe wohi sardiyon ka mousam hai

 

Poet:Wasi Shah

Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai
Tumhari "han"pe wohi sardiyon ka mousam hai

Darakhat par jo kabhi choriyon se dala tha
Us ikk nishan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Ye aik hum k nai boliyan sada bolain
Teri zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai

Sulag rahi hain dahan mein qabaen lafzon ki
Magar zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai

Tumhare ane pe soraj k haath chamken ge
Mere makan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Har aik simat pigalane lage hain san'nate
Tere biyan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Jahan jahan teri khoshboo k rang bikhare hain
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Teri judai k pal se howa hai ishaq hanok
K iss jahan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Wo "han" kare gi baharon mein us ka wada tha
Us aik "han" pe wohi sardiyon ka mousam hai

Wo mujh ko sonmp gaya farqaten december ki
Darakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Hamare lab to duaen jalae rakhate hain
Par asman pe wohi sardiyon ka mousam hai..........!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha