Jab main ghar se nikal raha tha Chaltey chaltey Mery senny sey hatatey pal

Poet:Wasi Shah

Jab main ghar se nikal raha tha
Chaltey chaltey
Mery senny sey hatatey pal
Dherey se ikk sarghoshi main
Us ney kaha tha
Dekhain chahy kuch bhi ho jae
Roz Mujhy RING ki jiye ga
Phir jab us ke haath aur nazrain
Dono meri tie par thin
Kehne lagi
Aap nahin hotey hain to bilkul khali ho jati hon
Chor nahi sakty ye BUSINESS?
Aap mujhy kion tarpate Hain?
Acha daikhen yon karte hain
Aik din khat aur aik din phone
Main ne us ko Boosa de kar
Us se kaha Tha
Ab k chahy kuch ho jae
Khat likhon ga phone karon ga
Haye! lekin khod sar fitrat
Aur kuch karobar k jhunjhat
Na to us ko phone kia tha
Aur na hi koi khat likh paea
Na koi MESSAGE na hi card
Ab jo ghar ko laut raha hon
Soch raha hon
Tanhai k ye do hafatey
Us par Sadiyon jaise hon ge
Lekin ye bhi janta hey dil
Us ko be-hadd shikwe hon ge
Tararpati ho gi
Chup kar takiye main raaton ko roi ho gi
Khafa khafa si
Lekin ghar main dakhil ho kar
Jab main us ke Mathe par ikk bosa don ga
Un honton par hont rakhon ga
Aur kahon ga
"Yar mujhe tum yaad ayi Thin
Lamhy lamhy main soo baar"
Bus itna hi kehna ho ga
Aur wo Pagli
Apna sab kuch sonp kar mujh ko
Mere seene lag jae gi
Phir jab us k haath aur nazrain
Dono mere seene K baalon par hon ge
Woh seena jo un ashkon se bheega ho ga
Sargoshi main mujhse kahe gi
Aap bhaley ab kuch bhi kar lain
Hargiz ab na janey don gi
Sachi aap to buhat bure hain
Buhat bure hain
Hain na BHONGOO.............!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo