Poet:Wasi Shah
Jab se yeh peghaam mila hai
Jaana'n! tum aaney wali ho
Mausam ne saarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai
Chokhat par ik chaand bhi aa kar beth geya hai
Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain
Kehte hain ke
Is raste se tum guzro gi
Nanhe mune gulabon ka kehna hai
Jitne din tum pass raho gi
Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge
Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain
Jugnu kab se chat pe, ghar ke
Har goshay mein chamak rahe hain
Soraj aur barish bhi kal se saaye'baan par tikkay huye hain
Dheemey dheemey chehek rahe hain
Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le kar
Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro gi
Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam
Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de kar
Kho jayegi
Phir na kabhi wapis aaye gi
Is se pehle ke yeh shaam bhi
Saarey mausam lekar mujhko khaali karke kho jaye
Tum aajao naa'n
Aa bhi jao.......!
Comments
Post a Comment