Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum Tumhain khabar hai jawani mein dhal rahi ho tum

 

Poet:Wasi Shah

Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum
Tumhain khabar hai jawani mein dhal rahi ho tum

Kabhi tumhe bhi to daawa tha sard-mehri ka
Kisi ke lamss ko paa kar pighal rahi ho tum

Batao kyon nahin roka tha jaane waley ko
Ab aik umar se kyon hath mall rahi ho tum

Jo waaldain ne tum se kaha woh maan liya
Ab apni aag mein chup chaap jal rahi ho tum

Hamare dil ka khilona tumhi ne torra hai
Ab isi khilone ki khatir machal rahi ho tum

Tumhe gumaa’n hai ke mein janta nahin kuch bhi

Mujhe khabar hai ke rasta badal rahi ho tum..........!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo