Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se Mere qadmon pe mera sir hai kai sadiyon se


Poet:Wasi Shah

Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se

Mere qadmon pe mera sir hai kai sadiyon se

Khof rehta hai na seelab kahen le jae

Meri plkon pe tera ghar hai kai sadiyon se

Uss k pani mein bhi pehle sa wo thehrao nahin

To bhi bechain sumandar hai kai sadiyon se

Ashak ankhon mein solagte hoe so jate hain

Ye meri ankh jo banjhar hai kai sadiyon se

Kon kehta hai mulaqat meri ajj ki hai

Too meri rooh k andar hai kai sadiyon se

Ye mujhe sans bhi khol kar nahin laine daita

Meri shah raag pe jo khanjar hai kai sadiyon se

Ay meri maa main har ikk dhop se lar sakta hon

Mere sir par teri chadar hai kai sadiyon se

Main ne jis k lie har shakhs ko naraz kia

Roth jae na yahi dar hai kai sadiyon se

Usski adat hai jharhen katate rehne ki WASI

Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadiyon se


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha