Kal ajjab saneha sa hoa rait par Naam tera na likh saka rait par


Poet:Wasi Shah

Kal ajjab saneha sa hoa rait par
Naam tera na likh saka rait par

Kis ki awaz se tham gae hain qadam
Phir se kiss ne mujhe di sadaa rait par

Us ki ankhon se sholey nikalte rahe
Nachti reh gai kal ghata rait par

To ne jo bhi hawa se kaha reh gaya
Mit gaya main ne jo bhi likha rait par

Main tumhen chomana chahta hon abhi
Uss ne mujh se ye ikk din kaha rait par

Abb ye sehra hi tere muqaddar mein hain
To ne mangi hi kion thi dua rait par

Aik shola utha us jaga se WASI
Mera aansoo jahan gir gea rait par.........!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai