Kese Aaye Ga Tere Khad-O-Khaal Ka Muasam ? Qismat Mein Likha Hai Jab Zawal Ka Muasam


Poetess: Noshi Gilani

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Kese Aaye Ga Tere Khad-O-Khaal Ka Muasam ?

Qismat Mein Likha Hai Jab Zawal Ka Muasam,

Kis Ne Khel Khela Hai ?
Kis Ne Hijar Jheela Hai ?

Ab Guzar Gaya Janaa'n,
Is Sawal Ka Muasam,

Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shakh Par Khilte,

Mein Keh Hijar Ka Lamha,
Too Visal Ka Muasam,

Dil Keh Ab To Sehra Hai,
Aur Aise Sehra Mein,

Jane Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Muasam,

Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Reh-Guzaaron Par,

Tere Lams Ka Tere Khad-O-Khaal Ka Muasam,

Hum Kabhi To Dekhein Ge Wehshton K Sehra Mein,

Ay KHUDA Mohabbat K Aetdaal Ka Muasam.........................*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo