Mein Tere Lab Pe Hon Daireena Shikayat Ki Tarah Yaad Rakha Hai Tu Ne Mujh Ko Adaawat Ki Tarah


Poet:Wasi Shah

Mein Tere Lab Pe Hon Daireena Shikayat Ki Tarah
Yaad Rakha Hai Tu Ne Mujh Ko Adaawat Ki Tarah

Chaand Niklay To Mera Jism Mehak Uthta Hai
Rooh Mein Utri Howi Taaza Muhabbat Ki Tarah

Teri Khatir To Koi Jaan Bhi Le Sakta Hon
Mein Ne Chaaha Hai Tujhe Gaon Ki Izzat Ki Tarah

Khul Rahi Hai Mere Daireena Masaail Ki Giraah
Mere Mahoul Mein Utra Hai Wo Barkat Ki Tarah

Ab Tere Hijr Mein Kuch Lutf Nahi Hai Baaqi
Ab Tujhe Yaad Bhi Kartay Hain To Aadat Ki Tarah

Tum Meri Pehli Mohabbat To Nahi Ho Laikin
Mein Ne Chaaha Hai Tumhain Pehli Muhabbat Ki Tarah

Wo Jo Aati Hai To Phir Laot Ke Jaati Hi Nahi
Tum Lipat Jao Kubhi Aisi Museebat Ki Tarah

Mere Dil Mein Koi Masoom Sa Bacha Hai "Wasi"
Jo Tujhe Sochta Rehta Hai Shararat Ki Tarah.........!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai