Meri wafa ne khilaye the jo gulaab Saare jholas gae hain Tumhari ankhon mai jis qadar the wo khuwaab saare jhulas gae hain


Poet:Wasi Shah

Meri wafa ne khilaye the jo gulaab Saare jholas gae hain
Tumhari ankhon mai jis qadar the wo khuwaab saare jhulas gae hain

Meri zameen ko Kisi nae haadse ka hai inatizar shayed
Gunah phalane lage hain ajar-o-sawaab saare jhulas gae hain

Jo tum gae to meri nazar pe haqeqaton k aazab utre
Ye sochta hon k Kia karon ga saraab saare jhulas gae hain

Ye mojaza sirf ikk shab ki musafaton ke sabab hua hai
Tumhare aur mere darmiyan ke hijaab saare jhulas gae hain

Use batana K us ki yadon k saare safahe jala chuka hon
Kitaab-e-dil mai raqam the jitne wo baab saare Jhulas gae hain

Nazar uthaon main jis taraf bhi muheb saye hain zulmaton k
Ye kia K mere naseeb k mahtaab saare jhulas gae hain

Tumhari nazron ki ye tapish hai k mere lafzon pe aabley hain
Sawaal saare jhulas gae hain jawaab saare jhulas gae hain

Ye agg khamoshiyon ki kaisi tumhari aankhon main tairti hai
Tumhare honton pe daraj the jo nisaab saare jhulas gae hain.........!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo