Mujhe us se muhabbat hai Magar kese kahoon us se


Poet:Wasi Shah

Mujhe us se muhabbat hai
Magar kese kahoon us se
Woh meri baat ko sanjeedgi se
kam hi leti hai
Har ik pal muskurana
Khilkhilaana
Doston par fikray qassna
Nit'naye masoom mansoobay banana
Shokh chanchal har gharri taaza shararat
main buhat masroof rehti hai

Magar ik aur hadsha bhi hai mujh ko
Main izhaar se
Iqraar se
khud rokay rakhta hon
Ke mehke khuwaab bun'ne, khelne ka waqt hai uska
Meri chahat
Kahin masoomiyat na cheen le uski

Sadaa se hum ne dekha hai
Muhabbat aadmi ko is qadar sanjeeda karti hai
Ke phir mehfil, tamashey, khel us ko bojh lagte hain
Main darta hoon
Kahin yeh bhol'pan us ka
Yeh har pal cheh'chihaana muskurana sab
Meri izhaar se sanjeedgi mein na badal jaye

Kahin us shokhh ko bhi rog koi
Chup chaap na lag jaye

Mujhe us se muhabbat hai

Magar kese kahoon us se.........!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha