Poet:Wasi Shah
Pa barhna aur mere Charon taraf tanhaiyaan
Chon raha hon teri yaadon ki solagti kirchiyaan
Kia kahein tarak-e-ta'aluq ka irada to nahin
Yaad jo karne lage ho tum purani talkhiyaan
Aah! Wo mousam wo heele aur kinara nehar ka
Yaad ati hain mujhe campus ki sari shokhiyaan
Kia kisi wehshat zada mousam ka tum ko khof hai
Kiss liye khamosh ho kholo na dil ki khirkiyaan
Mein use shohrat k baam-o-dar pe pohuchane k bad
Apne daman mein chopa le jaon ga ruswaiyaan
Apni barbadi ka mein ja kar kise ilzam don
Apne haathon se daboen mene apni kashtiyaan
Jeet to jata hon phir bhi dukh sa rehta hai mujhe
Kab talak us se mein khelon ga shikasta baziyaan
Boliyaan lagati hain ab bhi khoshiyon k sheher me
Ajj bhi bazar me bikti hain nazak titliyaan
Lijiye iss dil Ka phir mah-e-Moharam aa gaya
Matamon ka shor hai aur chal rahi hain barchiyaan
Yaad hai mujh ko December mein judai ki wo raat
Chaand ki kirnain lahoo mein ban gaen changariyaan
Hijar k sahil pe kiss k muntazir baithe ho tum
Iss sumandar se bhala kab lot'ti hain kashtiyaan
Phir kasila zaiqa mousam ka iss dil ko laga
Phir se ankhon mein utar ayen purani talkhiyaan
Kon jane kiss se badla le raha hon mein WASI
Aik moddat se ragon mein paal kar veeraniyaan...........!
Comments
Post a Comment