Qalam ho taigh ho taisha k dhaal mat cheno Kabhi kisi se kisi ka kamal mat cheno

 

Poet:Wasi Shah

Qalam ho taigh ho taisha k dhaal mat cheno
Kabhi kisi se kisi ka kamal mat cheno

Khushi isi mein agar hai to har khushi lay lo
Yeh dukh yeh dard yeh huzan o malal mat cheno

Isi khalish ke sabab phir muje obharna hai
Khuda ke wastay ahed-e-zawal mat cheno

Mein chor sakta nahin saath istiqamat ka
Meri aazaan se josh-e-Bilal mat cheno

Abhi kitab na cheno tum in ke haathon se
Hamare bachon ka hussan-o-jamal mat cheno

Hamari aankh mein yaadon ke zakham rehnay do
Hamare haath se phoolon ki dhaal mat cheno

Abi bhojao na Candle na cake kato abhi
Kuch aur dair mera pichla saal mat cheno.......!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha