Sochta hon k use nend bhi aati ho gi Ya meri tarah faqat ashak bahati ho gi


Poet:Wasi Shah

Sochta hon k use nend bhi aati ho gi
Ya meri tarah faqat ashak bahati ho gi

Wohi meri shakal mera naam bholany wali
Apni tasveer se kia aankh milati ho gi

Is zameen pr bhi hai seelaab meray ashkon se
Meray matam ki sada aarsh helati ho gi

Shaam hote hi wo chokhat pe jala kar shamain
Apni palkon pe kai khuwaab sulati ho gi

Us ne silwa bhi liye hon ge siya rang libas
Ab Moharram ki tarah Eid manati ho gi

Hoti ho gi mere bhosy ki talab main pagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajati Ho gi

Mere tareek zamanon se nikalne wali
Roshni tujh ko meri yaad dilati ho gi

Dil ki masoom ragain khud hi sulagti ho gi
Jonhi tasveer ka kona wo jalati ho gi

Roop de kar mujhe us main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahani wo sunati ho gi.........!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo