Sochta Hon Keh Usay Neend Bhi Aati Hogi Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi


Poet:Wasi Shah

Sochta Hon Keh Usay Neend Bhi Aati Hogi

Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali

Apni Tasveer Se Kia Aankh Milati Hogi?

Is Zameen Pe Bhi Hai Selaab Meray Ashkon Se

Mere Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi

Shaam Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Kar Shamain

Apni Palkon Pe Kaii Khuwaab Sulati Hogi

Us Ne Silwa Bhi Liye Hongy Siya Rang Libaas

Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi

Hoti Hogi Mere Bosay Ki Talab Main Pagal

Jab Bhi Zulfon Main Koi Phool Sajati Hogi

Mere Tareek Zamano Se Nikalnay Wali

Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi

Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi

Jonhi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi

Roop De Kar Mujhe Us Main Kisi Shehzaday Ka

Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi.......!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai