Tum mere dard bhi, gham bhi, aalam bhi tum Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum


Poet:Wasi Shah

Tum mere dard bhi, gham bhi, aalam bhi tum

Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum

Kamyaabi ko nahin hum ne tumhen chahaa hai 

Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum

Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho

Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum

Kiya zaroorat hai mujhe dard ke me'khaanon ki

Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum

Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho

Aik din khul ke pukaaro ge mera naam bhi tum

Ye seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi

Yahan seyaad bhi tum ho, to teh'daam bhi tum

Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag

Sach to ye hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum

Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai

Meri furssat bhi tum hi aur mera har kaam bhi tum........!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha