Zar ki namoos ki rasmon se baghawat kar ke Kuch nahin paaye ga wo mujh se muhabbat kar ke

Poet:Wasi Shah

Zar ki namoos ki rasmon se baghawat kar ke

Kuch nahin paaye ga wo mujh se muhabbat kar ke

Baiy'n karti hoi aankhain, ye pareshan zulfain

Aur kya chahte ho us se muhabbat kar ke

Phool to phool hain zakhmon ke bhi nakhre hain yahan

Hum ne dekha hai buhat in ki ibadat kar ke

Yeh kisi jabr pe honton ko siyaa karte hain

Zulam karte hain wo zaalim ki himayat kar ke

Dil ke sehraao'n ki veeraaniya'n jati hi nahin

Teri yaadon ne bhi dekha yahan hijrat kar ke

Woh mere hijr ko bhi khail samajhta hai Wasi 

Laot jaye ga kisi roz sharaarat kar ke............!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai