Agar Dard-E-Muhabbat Se Na Insaan Aashna Hota Na Kuch Marne Ka Gham Hota Na Jeene Ka Maza Hota

 

Poet:Brij Narayan Chakbast

Type By

*.__NOMI__.*

Agar Dard-E-Muhabbat Se Na Insaan Aashna Hota

Na Kuch Marne Ka Gham Hota Na Jeene Ka Maza Hota

Mai Gul Rang Lutiti,Yun Dar-E-Maikhaana Waa Hota

Na Peene Main Kami Hoti,Na Saaqi Se Gila Hota

Hazaaron Jaan Dete Hain Butoon Ki Bewafaai Par

Agar In Mein Se Koi Bawafa Hota Kia Hota

Agar Dam Bhar Bhi Mit Jaati Khalish Khaar-E-Tamanna Ki

Dil-E-Hasrat Talab Ko Apni Hasti Se Gila Hota

Ye Maana Be-Hijabana Nigaahein Qahar Karti Hain

Magar Husn-E-Hayaa Parwar Ka Aalam Dosra Hota......!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai