Aser Dil Par Kare Shikwah Shikaayt Ho To Aisi Ho, Gale Lag Kar Koi Roye Nidaamat Ho To Aisi Ho,


Poet Aetbaar Sajid

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Aser Dil Par Kare Shikwah Shikaayt Ho To Aisi Ho,

Gale Lag Kar Koi Roye Nidaamat Ho To Aisi Ho,

Kisi K Khaal-O-Khadd Mein Apne Khaal-O-Khadd Nazar Aaein,

Safar Chaahe Kahein Ka Ho
Rafaaqat Ho To Aish Ho,

Wo Baam-O-Dar Hon Aise Jin Mein Apna Pan Nazar Aaye,

Jo Apne Ghar Ki Chhat Jesi Ho,
Chhat Ho To Aisi Ho,

Mujhe Kanta Chubhe Aur Teri Aankhon Se Lahoo Tapke,

Taluq Ho To Aisa Ho,
Mohabbat Ho To Aisi Ho,

Yahi Mehsoos Ho Jese Kai Sadiyaan Guzaari Hain,

Faqat Ik Pal Ki Furqat Mein,
Aziyet Ho To Aisi Ho,

Kisi K Haal Par Roein Dar-O-Baam-E-Adaalat Bhi,

Sadaaqat Ho To Aisi Ho,

Wakaalat Ho To Aisi Ho...................*


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha