Ba Ihtiyat-E-Aqeedat Ba Chashm-E-Tar Kehna, Saba Hazoor (SAW) Se Haal-E-Dil -O-Nazar Kehna


Poetess:Noshi Gilani

Type By

*._.Murtaza._.*

Ba Ihtiyat-E-Aqeedat Ba Chashm-E-Tar Kehna,

Saba Hazoor (SAW) Se Haal-E-Dil -O-Nazar Kehna,

Hasaar-E-Jabar Main Hoon Aur Yahan Se Bhi Hijrat,

Main Janti Hoon Keh Mumkin Nahi Magar Kehna,

Main Khaak-E-Shehr-E-Madeena Pehan Ke Jb Nikloon,

To Mujh Se Barrh Ke Koi Hoga Moatbar Kehna,

Ye Arz Karna Ke Aaqa Meri Bhi Sun Lijiye,

Bajiz Tumhare Nahi Koi Charagar Kehna,

Main Apni Palkoon Se Likhti Hoon Haraf-E-Naam-E-Rasool (SAW),

Mujhe Bhi Aa Gaya Likhne Ka Hunar Kehna,

Ye Kehna Ab To Humain Taab-E-Intezaar Nahi,

Keh Hum Karenge Madeene Ka Kab Safar Kehna............?

Book Name

Udass Rehne Ke Din Nahi Hain

Page No 17-18

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo