Khazaan Ki Rut Main Lamha-E-Jamal Kaise Aa Gaya, Ye Aaj Phir Seenghar Ka Khayaal Kaise Aa Gaya,


Poetess:Parveen Shakir

Type By

*._.Murtaza._.*

Khazaan Ki Rut Main Lamha-E-Jamal Kaise Aa Gaya,

Ye Aaj Phir Seenghar Ka Khayaal Kaise Aa Gaya,

Hansi Ko Apni Sun Ke Aik Baar Main Bhi Choonk Uthi,

Ye Mujh Main Dukh Chupane Ka Kamaal Kaise Aa Gaya,

Wo Rassam-E-Chaara Saazi-E-Junoon To Khatam Ho Chuki,

Ye Dil Ke NaamHaraf-E-Andmal Kaise Aa Gaya,

Abhi To Dhoop Rozn-E-Qafas Se Kosoon Door Thi,

Abhi Se Aftaab Ko Zawaal Kaise Aa Gaya,

Judaiyon Ke Zakham To,Suna Ke,Bhar Chale Thay Phir,

Badan Ke Haath Naakhan-E-Wasaal Kaise Aa Gaya,

Tamaam Kainaat Azal Se Aainon Ki Zid Pe Thi,

Hajoom-E-Aks Main Ye Be-Misaal Kaise Aa Gaya..........?

Book Name

Sad Barg

Page No 125

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha