Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri, Zindagi Shamma Ki Soorat Ho Khudaaya Meri

 

Poet:Allama Muhammad Iqbal

Type By

*._.Murtaza._.*

Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri,

Zindagi Shamma Ki Soorat Ho Khudaaya Meri,

Door Dunya Ka Mere Dam Se Andhera Ho Jaaye,

Har Jagah Mere Chamakne Se Ujaala Ho Jaaye,

Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki Zeenat,

Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat,

Zindagi Ho Meri Parwaane Ki Soorat Ya RAB,

Ilam Ki Shamma Se Ho Mujh Ko Muhabbat Ya RAB,

Ho Mera Kaam Ghareebon Ki Himaayat Karna,

Dardmandon Se Za'eefoon Se Muhabbat Karna,

Mere ALLAH Buraai Se Bachaana Mujh Ko,

Naik Jo Raah Hai Us Raah Pe Chalaana Mujh Ko...........!

Book Name

Bang-E-Dara

Page No 19

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai