Main Ne Kaha Khayaal-E-Wasl,Us Ne Kaha Keh Khuwaab Hai Main Ne Kaha Farogh-E-Husn,Us Ne Kaha Hijaab Hai

 

Poet:Suhail Kakorvi

Type By

*.__NOMI__.*

Main Ne Kaha Khayaal-E-Wasl,Us Ne Kaha Keh Khuwaab Hai

Main Ne Kaha Farogh-E-Husn,Us Ne Kaha Hijaab Hai

Main Ne Kaha Keh Baat Maan Chehre Ko Be-Naqaab Kar

Us Ne Kaha Keh Zid Na Kar Deed Ki Tujh Ko Taab Hai?

 

Main Ne Kaha Kharaab Hoon Gardash-E-Chashm-E-Mast Se

Us Ne Kaha Ke Raqs Kar Saara Jahan Kharaab Hai

 

Main Ne Kaha Keh Khabar Nahin Kyun Tujhe Kainaat Ki

Us Ne Kaha  Shabaab Ki Kaifiyat-E-Shabaab Hai

Main Ne Kaha Sukoon Nahin Gham Ki Siyaah Raat Mein

Us Ne Kaha Keh Fikar Kya,Jaam Hai Sharaab Hai

Main Ne Kaha Keh Ishq Ka Tum Ko Bhi Kuch Hai Tajruba

Us Ne Kaha Keh Ishq Kya,Ishq To Lajawaab Hai

 

Main Ne Kaha Keh Khuwaab Main Dekhe Hain Gaiso-E-Haseen

Us Ne Kaha Keh Zindagi Ab Teri Peech-O-Taab Hai

 

Main Ne Kaha "SUHAIL" Se Raaz-O-Niaz Khoob Hain

Us Ne Kaha Suhail Ka Ishq Hi Kaamyaab Hai................!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo