Piro Diye Mere Aansoo Hawaa Ne Shakhoon Main, Bharam Bahaar Ka Baqi Rahe Nigaahoon Main


Poet:Parveen Shakir

Type By

*._.Murtaza._.*

Piro Diye Mere Aansoo Hawaa Ne Shakhoon Main,

Bharam Bahaar Ka Baqi Rahe Nigaahoon Main,

Saba To Kia Ke Mujhe Dhoop Tak Jaga Na Saki,

Kahan Ki Neend Utar Aai Hai In Aankhoon Main,

Kuch Itni Tezz Hai Surkhi Ke Dil Dharrakta Hai,

Kuch Aur Rang Pass-E-Rang Hai Gulaabon Main,

Superdgi Ka Nasha Tootne Nahi Paaya,

Anaa Samaai Huwi Hai Wafa Ki Banhoon Main,

Badan Pe Girti Chali Ja Rahi Hai Khuwaab Si Barf,

Khanak Sapedi Ghuli Ja Rahi Hai Saanson Main........!

Book Name

Sad Barg

Page No 20

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai