Hijar Ki Shab Ka Kisi Isim Se Katna Mushkil, Chaand Poora Hai To Phir Dard Ka Ghatna Mushkil,

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*._.Murtaza._.*

Hijar Ki Shab Ka Kisi Isim Se Katna Mushkil,

Chaand Poora Hai To Phir Dard Ka Ghatna Mushkil,

Moja-E-Khawaab Hai Wo,Us Ke Thikaane Maa'loom,

Ab Gaya Hai To Ye Samjho Keh Palatna Mushkil,

Jin Darakhtoon Ki Jarrain Dil Main Utar Jati Hain,

Un Ka Aandhi Ki Daraanti Se Bhi Kaatna Mushkil,

Qoowat-E-Gham Hai Jo Es Tarha Sanbhale Hai Mujhe,

Warna Bikhroon Kisi Lamhe To Samatna Mushkil,

Es Se Milte Huwe Chehre Bhi Bohat Hone Lage,

Shehar Ke Shehar Se Ik Saath Namatna Mushkil,

Ab Ke BhiKhoshoon Pe Kuch Naam Thay Pehle Se Likhe,

Ab Ke Bhi Fasal Ka Dehqaanon Main Batna Mushkil.........!

Book Name

Sad Barg

Page No 102

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai