Qadmoon Main Bhi Thakaan Thi,Ghar Bhi Qareeb Tha, Par Kiya Karein Keh Ab Ke Safar Hi Ajeeb Tha

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*._.Murtaza._.*

Qadmoon Main Bhi Thakaan Thi,Ghar Bhi Qareeb Tha,

Par Kiya Karein Keh Ab Ke Safar Hi Ajeeb Tha,

Nikle Agar To Chaand Dareeche Main Ruk Bhi Jaaye,

Es Shehar-E-Be-Chiraagh Main Kis Ka Naseeb Tha,

Aandhi Ne Un Rutoon Ko Bhi Taaj Kar Diya,

Jin Ka Kabhi Humsaa Parinda Naseeb Tha,

Kuch Apne Aap Se Hi Ose Kashmash Na Thi,

Mujh Main Bhi Koi Shakhs Osi Ka Raqeeb Tha,

Poochha Kisi Ne Mol To Hairaan Reh Gaya,

Apni Nigaah Main Koi Kitna Ghareeb Tha,

Maqtal Se Aane Wali Hawaa Ko Bhi Kab Mila,

Aisa Koi Dareechha Ke Jo Be-Saleeb Tha.......!

Book Name

Sad Barg

Page No 147

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo