Raas Aa Nahi Saka Koi Pemaan ALVIDAA, Too Meri Jaan-E-Jaan So Meri Jaan ALVIDAA


Poet:Jaun Elia

Type By

*._.Murtaza._.*


ALVIDAA

Raas Aa Nahi Saka Koi

Pemaan ALVIDAA,

Too Meri Jaan-E-Jaan

So Meri Jaan ALVIDAA,

Main Tere Saath Bujh Na Saka Hadd Guzar Gai,

Main Hoon Tujh Se Pashemaan ALVIDAA,

Main Ja Raha Hoon Apne Bayabaan-E-Hall

Main,

Damaan ALVIDAA!,

Girebaan ALVIDAA!,

Ik Rod-e-Nashanaas Main Hai Doobna Mujhe,

So Aey Kinaar-E-Rod,

Bayabaan ALVIDAA,

Khud Apni Ik Mataa-E-Zaboon Reh Gya Hoon

Main,

So ALVIDAA, Aey Mere Samaan ALVIDAA,

Sehna To Aik Saza Thi Murad-E-Muhaal Ki,

Ab Hum Na Mil Saken Ge, Miyaan Jaan ALVIDAA,

Aey Sham Gaah-E-Sehan-E-Malaal-E-Hameshgi,

Kia Jane Kia Thi Teri Har Ik Aan,

ALVIDAA,

Kis Kis Ko Hai Alaaqa Yahan Apne Gair Se,

Insaan Hoon Main,Too Bhi Hai Insaan

 ALVIDAA,

Nisbat Kisi Bhi Shay Se Kisi Shay Ko Yaan Nahi,

Hai Dil Ka Zara Zara Pashemaan 

ALVIDAA,

Rishta Mera Koi Bhi "Alif"Bay" Se Ab Nahi,

Amrooha ALVIDAA,So Aey "BAAN" 

ALVIDAA,

Ab Main Nahi Raha Hoon Kisi Bhi Gumaan 

Ka,

Aey Mere Kufar, Aey Mere Eemaan ALVIDAA...............!

Book Name GUMAAN

Page No 212-213


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo