Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi.... Par Wo Kisi Or K Liye Saji Thi


Wo Dulhan K Roop Main

Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi....

Par Wo Kisi Or K Liye Saji Thi....

Aaj Bhi Uss Ka Roop Wohi Suhana Tha....

Jisay Daikh K Hoa Main Deewana Tha....

Usay Panay Ki Justuju Thi Usay Pana Tha....

Par Usay Kahan Meri Zindagi Main Aana Tha....

Aankho Main Ashk Liye Usay Daikhta Reh Gaya....

Meri Aankhon Say Ashkon Ka Tofaan Beh Gaya....

Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi....

Mere Liye Nahi Kisi aur K Liye Saji Thi....

Mere Dil Main Jo Dhak Dhak Ho Rahi Thi....

Mere Dil Ki Dharkan Bhi Ro Rahi Thi....

Pocho Na Mujh Say Kya Beeti Mujh Par Kya Seh Raha Tha....

Us Ki Doli Ko Jaaty Hoay Daikh Raha Tha....

Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi....

Par Wo Kisi aur K Liye Saji Thi.....


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai