Ye Kesa Muasam Chhaya Gulshan Pe Aandhi Lane Wala, Parwanon Ka Muasam Aaya Shamma K Gird Mandlane Wala

 

Eid K Pur Musrrat  Moqay Pe Ayaz Khan Paish Karte Hain Poetry Mein Apne Dil K Jazbaat

===========
Eid Collection
===========

Poet
Zulmi Ayaz
Khan

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Ye Kesa Muasam Chhaya Gulshan Pe Aandhi Lane Wala,

Parwanon Ka Muasam Aaya Shamma K Gird Mandlane Wala,

Titliyan Beth Gai Haathon Par,

Kitna Maahir Tha Us Ko Mehndi Lagane Wala,

Us Ne Zehar-E-Mohabbat Meri Ragon Mein Utara Rafta Rafta,

Kitna Zalim Tha Mujhe Apni Mohabbat Ka Aadi Banane Wala,

Phoolon Ne Qasan Khai Hai K Bahaar Mein,

Youn Hi Rahe Ga Gulshan Mein Khelne Wala,

Dard To Hota Hai Phoolon Ko Jab Shaakh Se Juda Hon,

Kitna Zalim Hai Gulcheen Shaakh Se Phool Tor'rne Wala,

Hai Kon Itna Maahir Jo Phoolon Ko Haathon Pe Naqash Kare Zulmi ?

Rooth Gaya Muasam Titliyon Ka Phoolon Pe Mandlane Wala..................*

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha