Youn Hain Nishan-E-Khoon-E-Shaheedaan Gali Gali, Bikhra Ho Jese Rang-E-Gulistaan Gali Gali


Poetess: Naseem Nazish

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Youn Hain Nishan-E-Khoon-E-Shaheedaan Gali Gali,

Bikhra Ho Jese Rang-E-Gulistaan Gali Gali,

Kis Ki Nazar Lagi Meri Basti Ko Ay Khuda ?

Kion Ho Gai Hai Shehr Ki Veeran Gali Gali,

Aaya Hai Kon Mush'al-E-Aarz Liye Huye,

Roshan Hai Aik Husan-E-Farozaan Gali Gali,

Phirti Hoon Main Bhi Deed-E-Rukh-E-Yaar K Liye,

Muaj-E-Hawa Ki Tarah Pareshan Gali Gali,

Gheroon Se Charah Sazi Ki Umeed Hai Abss,

Kion Le K Jaon Zakham-E-Dil-Jaan Gali Gali,

Huraf-E-Sukhan Ko Aaj Koi Poochta Nahi,

Kal The Adabb Nawaz-O-Ghazal Khawaa'n Gali Gali,

Behtar Hai Aaj Qadar Karo Is Zameen Ki,

Kal Ghoomte Phiro Ge Pasheman Gali Gali,

NAZISH Main Apni Aag Mein Jalti Rahi,

Magr Hota Raha Hai Jashan-E-Charaaghan Gali Gali...................*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo