Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Mohaal Kar Dia Ishq K Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhal Kar Dia

Poetess Parveen Shakir

Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Mohaal Kar Dia

Ishq K Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhal Kar Dia

Aye Meri Gul Zameen Tujhe Chah Thi Ek Kitab ki

Ehl-e-Kitab Ne Magar Kia Tera Haal Kar Dia

Milte Howe Dilon K Beech Aur The Faisla Koi

Us Ne Magar Bicharte Waqt Aur Sawal Kar Dia

Ab K Hawa K Sath Hai Daman-E-Yar Muntazir

Bano-E-Shab K Hath Mein Rakhna Sanmbhal Kar Dia

Mumkina Faislon Mein Ek Hijar Ka Faisla Bhi Tha

Hum Ne To Ek Bat Ki Us Ne Kamal Kar Dia

Mere Labon Pe Mohar Thi Par Mere Sheesha Roo Ne To

Shehr K Shehr Ko Mera Waqif-E-Haal Kar Dia

Chehra-O-Naam Ek Sath Aaj Na Yad Aa Sake

Waqt Ne Kis Shabeeh Ko Khawab-O-Khayal Kar diya

Muddaton Baad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gila Kia

Mansab-E-Dilbari Pe Kia Mujh Ko Bahal Kar Dia..............!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo