Poet:Fakhra Batool
Type By
*.__Murtaza.__.*
MOAJZA
Muhabbat Noor Hai Ik Rangeeni Hai,
Muhabbat Mein Ajab Si Chaashni Hai
Kabhi Parbat K Parbat Khod Daale,
Kabhi Qadmon Se Sehra Rond Daale,
Kabhi Kachhe Gharre Par Tairti Hai,
Kabhi Rukh Badloon Ka Phairti Hai,
Kabhi Laila Ki Ye Waraftagi Hai,
Kabhi Ye Qais Ki Deewangi Hai,
Kabhi Ye Khazar Ban Kar Raah Dekhaa'e,
Kabhi Khanjar Tallay Sajda Karaa'e,
Ye Kaanton Par Bhi Chalna Janti Hai,
Muhabbat Hanss Ke Marna Janti Hai,
Jallal-O-Jaah Ko Thokar Lagaa'e,
Kabhi Deewaar Mein Chunwaai Jaa'e,
Kabhi Sooli Ko Harz-E-Jaan Bataa'e,
Kabhi Gulzaar Shoaloon Ko Banaa'e,
Muhabbat Fasl-E-Gul Ki Taazgi Hai,
Khudi Ka Raaz Hai Aur Be-Khudi Hai,
Muhabbat Ka Anokha Silsila Hai,
Kahein YASRAB Kahein Par KARBALA Hai,
Har Ik Soorat Mein Ye Zinda Rahi Hai,
Muhabbat MOAJZA Hai Bandagi Hai.....!
Book Name:Palkain Bheegi Bheegi Si
Page 144-145
Comments
Post a Comment