Ye Qalb-E-Hazeen,Deed-E-Namnaak Badal Jaaye, Tum Aao To Ye Soorat-E-Iflaak Badal Jaaye,


Poet:Amjad Islam Amjad

Type By

*._.Murtaza._.*

Ye Qalb-E-Hazeen,Deed-E-Namnaak Badal Jaaye,

Tum Aao To Ye Soorat-E-Iflaak Badal Jaaye,


Kya Ho Jo Kabhi Yoon Hi Sar-E-Raah Kisi Din,

Choo Le Wo Mujhe Aur Meri Khaak Badal Jaaye,


Hote Hain Wohi,Lagte Hain Har Baar Naye Gul,

Badle Jo Havaa,Bagh Ki Poshaak Badal Jaaye,


Mitti Bhi Wohi Aur Hunar-E-Kooza Gari Bhi,

Kya Kooze Wohi Honge,Agar Chaak Badal Jaaye,


Har Cheez Ki Hee'at Hi Badal Jaaye Saraasar,

Ik Pal Ko Agar Aap Ka Adraak Badal Jaaye,


Badla Hai Naya Roop Par Qaatil To Wohi Hai,

Kab Teer Badalte Hain Jo Fatraak Badal Jaaye,


Sab Kuch Hai Yahein Khatam Ke Mumkin Hi Nahi Hai,

Badla Jo Nahi Yaan Wo Taha-E-Khaak Badal Jaaye..........!

Book Name Shaam Saraa'e Page No 66-67


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo