Aawaz K Hamraah Sarapa Bhi To Dekhoon, Ay Jaan-E-Sukhan Main Tera Chehra Bhi To Dekhoon

Poetess Parveen Shakir

Type
By

Uroosa Emaan

Aawaz K Hamraah Sarapa Bhi To Dekhoon,

Ay Jaan-E-Sukhan Main Tera Chehra Bhi To Dekhoon,

Dastak To Kuchh Aisi Hai Keh Dil Chhoone Lagi Hai,

Is Habbas Mein Baarish Ka Ye Jhonka Bhi To Dekhoon,

Sehara Ki Tarah Rehte Huye Thak Gai Aankhein,

Dukh Kehta Hai Ab Main Koi Dariya Bhi To Dekhoon,

Ye Kaya Keh Wo Jab Chaahe Mujhe Chheen Le Mujh Se,

Apne Liye Wo Shakhss Tarrpta Bhi To Dekhoon,

Ab Tak To Mere Shayer Hawala Rahe Tera,

Main Ab Teri Ruswaai Ka Charcha Bhi To Dekhoon,

Ab Tak Jo Saraab Aaye The Anjaane Mein Aaye,

Pehchaane Huye Rastoon Ka Dhoka Bhi To Dekhoon.................*

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo