Dil-E-Hazeen Ko Teri Yaad Se Bachaa Na Sake, Hazaar Baar Bhulaaya Magar Bhula Na Sake

Poet:Naseer-O-Deen Naseer

Type By

*._.Murtaza._.*

Dil-E-Hazeen Ko Teri Yaad Se Bachaa Na Sake,

Hazaar Baar Bhulaaya Magar Bhula Na Sake,

Bujhe Bujhe Se Rahe Dil Mein,Jagmaga Na Sake,

Ye Daagha-E-Tamana Farogh Paa Na Sake,

Zuban-E-Ashk Se Haal-E-Dil Un Ko Kehna Tha,

Hum Un Ke Saamne Aansoo Magar Bahaa Na Sake,

Nikal Saki Na Mulaqaat Ki Koi Soorat,

Hamein Bula Na Sake Aur Khud Wo Aa Na Sake,

Tamaam Umar Phoonke Hain Hamare Qalb-O-Jigar,

Tum Hi Ne Aag Laga'ee Tum Hi Bujha Na Sake,

Chhuri Ko Haath Mein Le Kar Hazaar Baar Uthe,

NASEER! Dil Ke Woh Tukrray Magar Urraa Na Sake.......!

Book

Dast-E-Nazar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo