Dil Ki Bat Laboon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hain,

Poet Habib Jalib

Singar Mehndi Hassan

Typed
By

Uroosa Emaan

Dil Ki Bat Laboon Par La Kar
Ab Tak Hum Dukh Sehte Hain,

Hum Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Wale Bhi Rehte Hain,

Beet Gia Sawan Ka Maheena Muasam Ne Nazrein Badli,

Lekin In Pyasi Aankhon Se Ab Tak Aanso Behte Hain,

Aik Humain Aawara Kehna Koi Barra Ilzam Nahi,

Dunia Wale Dil Waloon Ko Aur Bohat Kuch Kehte Hain,

Jin Ki Khatir Shehr Bhi Chorra
Jin K Liye Badnam Huye,

Aaj Wohi Hum Se Begaane Begaane Se Rehte Hain,

Wo Jo Abhi Is Raah Guzar Se Chaak Garebaan Guzra Tha,

Is Aawara Deewaane Ko Jalib Jalib Kehte Hain,

Dil Ki Baat..................*


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai